love

mangu main khuda se jo wo
mil jaaye mujhe agar
duniya me kabhi tujhe kisi ki
na lage koi buri najar

udaasin beet raha tha zindagi ka
meri ab tak ka safar
tune hi hai mujhko nikala
in andhero se muskurakar

meri har takleef ki mujh se pahle
usko ho rahi thi kabar
banke daba har dard ki mere liye
lad rahi thi bhagwan se wo udhar

ho gayi thi viraan mere dil ki
zameen kona kona banjar
apne viswas se hi tune jagaye
ek ummeed mere dil ke undar
~ ~ ~ ~ ~
Posted: Aug 2015
About this poem:
indicate love
Post Comment

love

ab mujhe hai saath jiske
ye sari zindagi bitani
aane lagi hai ab kwaabo me
mere koi surat anjani

soac kar jise lagta hai mujh ko
wo hai jani pahchani
jo baat hai iss dil me kab se
ab usko hai sunani

chand, sitare aur ye najare
ye baat ho gai hai purani
wo khusboo hai gulab ki aur
main hu rang aasmani

badlte hue har waqt mausom ki
wo koi ritu hai suhani
ban jaun iss duniya me main uska aur wo meri deewani

ban ke kajal ankhon ka teri
mujhe har kami hai mitani
ho jaaye puri jo ab tak thi
hamari adhoori kahani
~ ~ ~ ~ ~
Posted: Aug 2015
About this poem:
true love
Post Comment

This is a list of anubhava's Poems. Click here for anubhava's Poem List

We use cookies to ensure that you have the best experience possible on our website. Read Our Privacy Policy Here