Darwaza Koi Ghar Se Nikalne Ke Liye

Darwaza koi ghar se nikalne ke liye de
Bekhauf koi raasta chalne ke liye de
Aankhon ko khawb ataa kiye shukria lekin
Paikar bhi koi khawbon main dhalne ke liye de
Sehmi huyi shaakhon ko zara si koi mohlat
Sooraj ki sawaari ko nigalne ke liye de
Sab waqt ki deewar se sar phorr rahe hain
Koi humain bhi to raasta bhaag nikalne ke liye de
Sailaab main mujh ko aye phenkne wale
Toota hua aik pal hi sambhalne ke liye de
Bedard mohabbatain hain bedard dilon ki
Koi cheez to inhe bhi pighalne ke liye de
~ ~ ~ ~ ~
Posted: Feb 2015
Post Comment

Mere Dard Ki Daastaan

Woh jo geet tum ne suna nahin,
Meri umar bhar ka reyaaz* tha,
Mere dard ki thi daastaan,
Jisey tum hansi mein urraa gaye..
~ ~ ~ ~ ~
Posted: Feb 2015
Post Comment

IK WOHI SHAKSS MUJHE YAAD RAHA

Ik wohi shakss mujhe yaad raha,
Jiss ko samjha tha bhool jaonga..
~ ~ ~ ~ ~
Posted: Feb 2015
Post Comment

EK LARKI

KUCHH AJB PRYEM WO KARTI THI
LARKI WO KISI PE MARTI THI
KEHTI THI MUJH SE BAT KARO
PAR KHUD KUCHH KEHNE SE DARTI THI
WO PYAR KISI SE KARTI THI
PAR IZHAR NAHI WO KARTI THI
ANJAN THI LAFZ-E-MUHABAT SE
PAR DAWYE PYAR K KARTI THI
DIKHNE MAIN KESI HOOR C THI
OR MAHTAB KA NOOR C THI
ABID NA SAMJHO TUM AAM USYE
WO BATAIN CHAND SE KARTI THI
~ ~ ~ ~ ~
Posted: May 2010
Post Comment

This is a list of abid_bhatti's Poems. Click here for abid_bhatti's Poem List

We use cookies to ensure that you have the best experience possible on our website. Read Our Privacy Policy Here